Wednesday, April 6, 2011

Kabhi nazar se gira diya.........

Kabhi nazar se gira diya,
Kabhi dil mein basa diya,
Mohabbat mein tum ne hume,
Kabhi hasaya to kabhi rula diya,
Kabhi pyar be shumar kiya,
Kabhi dard be inteha diya,
Apni diwanagi mein tumne hume,
Kiss makaam par pahucha diya,
Kabhi musaan se bhar diya,
Kabhi sehra mein tanha kar diya,
Dil ko khilona samajh kar tumne,
Hume har khel mein hara diya,
Kabhi umeedo ko barha diya,
Kabhi mayusiyo ne jeena duswaar kiya,
Phir bhi humdum humne tumhe,
Pyaar ki had se zyada pyaar kiya.

Ek aas lagana chahte hain........

Ek aas lagana chahte hain,
Tere dar par aana chahte hain,
Kuch nazre karam ho hum agar,
Hum sar ko jhukana chahte hain,
Kya doge hume sari khushian,
Hum daman ko pehlana chahte hain,
Tere kandhe pe sar rakh kar hum,
Gham apna sunana chahte hain,
Tum kya chahoge hum se kaho?
Hum khud ko mitana chahte hain.

Mat pooch........

Kitni mushkil se kati kal ki meri raat, mat pooch..
Dil se nikli hui honton mein dabi baat, mat pooch..
Wo kiss adaa se mere saamne se guzre abhi..
Kiss tarha maine sambhale mere jazbaat, mat pooch..
Waqt jo badle to insaan badal jaate hai,
Kya nahi dikhlate ye gardish-e-halaat, mat pooch..
Woh kisi ki ho bhi gayi aur mujhe khabar na hui,
Kiss tarha usne chudaya hai mujhse haath, mat pooch..
Iss tarha pal mein mujhe begana kar diya usne,
Kiss tarha apno se khayi hai maine maat, mat pooch..
Ab tera saath nahi hai toh fizaye kuch bhi nahi hai,
Kitni mushkil se bani thi dil ki kaaynaat, mat pooch ..

Waqt ki aankh se dekho to yeh bahut puraanii lagti hai........

Waqt ki aankh se dekho to yeh bahut puraanii lagti hai,
Tere mere ishq ki baat ab faqt kahani lagti hai,
Ban ke lahu ragh ragh mein woh behti hai,
Larki jo naadaan kabhi, kabhi bahut siyaanii lagti hai,
Ek had par maine guzaari tanha apni umar tamaam,
Aaj koyi soche to shayad bahut hairani lagti hai,
Kahne ko agar na ho kuch, jo kuch bhi kahu,
Jo baat samajh na aaye yaha woh baat ruhani lagti hai,
Us se badh kar bhi haseen honge "sagar" magar,
Achi itni phir kyun mujhko woh mar jaani lagti hai.

Haseen haathon se mayyat ko saja raha hai koi.....

Gham-e-Hayat Ka jhaghda mita raha hai koi,
Chale aao k duniya se ja raha hai koi,
Maut se keh do k ruk jaye 2 ghari k liye,
Suna hai aanay ka waada nibha raha hai koi,
Wo aise bethe huye hain meri lash k paas,
K jaise roothe huye ko mana raha hai koi,
Lout k aa na jaye saans meri nabzon main sanam,
Haseen haathon se mayyat ko saja raha hai koi.

Ik aarzoo hai..........

Ik aarzoo hai, puri parwrdigar kare,
Mein dair say jaon wo mera intezar kare,
Apne hathon say sanwarun zulfein uski,
Wo sharma ker mohabbat ka iqrar kare,
Lipat jay mujhse aalm-madhoshi mein,
Or josh e janum mein mohabaat ka izhar kare,
Ho shab-e-wisal ya RAB!,
Kya bheegi zulfon say mujhe bedaar kare,
Jab use chor ke jana chahun,
Wo rake or ik raat ka israr kare,
Kasam Khuda ki main kisi or ki ho nahi sakti,
Ye wada-e-wafa wo bar bar kare…

A moja-e-hawa tu hi bata........

A moja-e-hawa tu hi bata,
Wo dost hamra kaisa hai?
Jo bhool chuka hai hume kab se,
Wo jaan se pyara kaisa hai,
Kya us k jeewan lamho mein,
Koi lamha mera bhi hai,
Kya us ki jaagti aankhiyo mein,
Hamari yaad ab b baaqi hai,
Hain aasha nahi to,
Tu hi bata,
Hum yad usey kyo karte hai,
Wo hum se bichad kar khush hain,
Agar,
To pal pal hum q marte hai,
A moja-e-hawa tu hi bata......
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...