Waqt ki aankh se dekho to yeh bahut puraanii lagti hai,
Tere mere ishq ki baat ab faqt kahani lagti hai,
Ban ke lahu ragh ragh mein woh behti hai,
Larki jo naadaan kabhi, kabhi bahut siyaanii lagti hai,
Ek had par maine guzaari tanha apni umar tamaam,
Aaj koyi soche to shayad bahut hairani lagti hai,
Kahne ko agar na ho kuch, jo kuch bhi kahu,
Jo baat samajh na aaye yaha woh baat ruhani lagti hai,
Us se badh kar bhi haseen honge "sagar" magar,
Achi itni phir kyun mujhko woh mar jaani lagti hai.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment