Saturday, August 14, 2010

Dil Ki Tanhaaiyaan

Tanhaiyon se ghir gayee hoon main.

wo jo kabhi hasrat bankar jagee thee mere dil mein.

Aaj mere pairon ki jangeer ban gayee hain.

Duniyaa se bilkul alag ho gayee hoon main.

Jab pratham bhent huee unse to.

mere tan man mein pyaree see anubhooti huee.

Unki aankhon mein dekhne ki himmat nahi thi mujhme,

par bhi unhe jee bhar ke dekhna chahtee thi.

Wo mand mand muskurate hue mujhse baatein karte.

Aur lagataar dekhte rahte mujhe.

Par main sankochvash unhe koi bhi jawaab nahi de paatee.

Us pal mujhe lagaa aise ki wo mujhe bahut pasand karte hain.

Us din ke baad unse roj hone lagee baatein.

In baaton ko sunkar unke prati lagaav bahut gahraa ho gayaa hai.

Lekin waqt ne sab kuchh ulatkar rakh diya hai.

Ab ghir gayee hoon main ek ajab si udaasee se.

Shaayad wo bhi ghir gaye hon tanhaaiyon se.

Aur bhar gayee ho rom rom mein unke udaasee.

Phir bhi man mein ye aas hai ki,

kabhi dukh ke badal chhantege aur hoga khushhaal savera.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...