Saturday, December 11, 2010

Mujhe Likhna Aur Mitta Dena...

Nahi Mumkin Andheroon Main Chiragon Ka Bhuja Dena,
Bohat Mushkil Hai Meri Jan Tumay Dil Say Bhula Dena,

Tumain Ik Din Betayen Gey Meri Chahet Kay Sab Jezbay,
Meri Ghezlain, Meri Nezmayn, Mery Khat Bhi Jalaa Dena,

Kabhi Jo Yaad Aaon Main Tumhe Fursat K Lamhon Main “Sehar”
Haseen Hathon Say Kagez Per Mujhe Likhna Aur Mitta Dena….!

Dard ke Toofaan Dil Mein Uthtey hein.....

Dard key Toofaan Dil Mein Uthtey hein, Lamhein Sadiyon ki Tarah Kat-tey hein,
Hum Mitaanaa Chaahein jo Kabhi, Aap key Naqsh Kahan Mit-tey hein.

Hameshaa Tanhaiyon ki Majlis mein, Aap ka Hamne Intezaar kiya,
Aap ki Khaatir Kambaqt Dil ney,
Dard Mein Simtee hui Gehraiyon sey bhee Pyaar kiya.

Yun Armaano pey Chhaayeinge Shafaq Chahat key,
Sochaa naa thaa kabhi,
Yun Hamaare Chaain ko itni Taqleef Pohonchaaeigey Lamhe Aapki Mohhabbat key,
Sochaa naa thaa kabhi.

Yun Aap kee Kashish ka Jadoo chalega Jism-o-Jaan pey,
Ki Aap hee Aap Nazar Aaeingee Anjuman mein, Sehraa mein, Zamii Aasmaa pey,
Sochaa naa thaa kabhi.

Hameshaa Tanhaiyon ki Majlis mein, Aap ka Hamne Intezaar kiya,
Aap ki Khaatir Kambaqt Dil ney,
Dard Mein Simtee hui Gehraiyon sey bhee Pyaar kiya.

Hamne Aap sey Ummeed kee bhee to kya ?
Thori see Shid-dat ?
Thori see Wafa ?

Yun Hamaari itni see Guzarish kubool karne key liye,
Aap hamein itna Tarsaeingey,
Sochaa naa thaa kabhi.

Yun hamare khwaabon ko Muk-kam-mal karne ley liye,
Iss qadar aap hamein, pal pal Tarpaaeingey,
Sochaa naa thaa kabhi.

Hameshaa Tanhaiyon ki Majlis mein, Aap ka Hamne Intezaar kiya,
Aap ki Khaatir Kambaqt Dil ney,
Dard Mein Simtee hui Gehraiyon sey bhee Pyaar kiya.

, Lamhein Sadiyon ki Tarah Kat-tey hein,

Ja gira......

Thokar lagi to apne muqaddar pe ja gira,
Phir yun huaa k aaieena pathar pe ja gira.
Ehsaas-e farz jab bhi huaa neend aa gayee,
Chalna tha pul-saraat pe,bistar pe ja gira.
Baazi Muhabbaton ki jahaalat ne jeet lee,
Wo ban gata khateeb jo Mimber pe ja gira.
Khushboo qasoor-waar nahi, is ko chhor do,
Main phool torte hue khanjar… pe ja giraa.

Aankhen......

Main Kahoon Na Kahoon Ye Akhiyaan Bata Deti Hain
Gham-E-Dil Ye Tammam Mehfil Ko Suna Deti Hain

Ho Jati Hai, Teri Yaad Main gum, Yun Aksar
Sookhe Hue Takiye Ko Bhiga Deti Hain

Jiss Ne Bhi Yahan Ishq Kiya Us Ne Jaana
Bolti Khamooshiyan Ye Apne Me Sama Leti Hain

Yun To Naam Leva Ishq Ke Hain Yahan Per Be-Had
Nibhaya Ise, Woh Hi Janay, Ye Kitna Maza Deti Hain

Ye Imtehan Deti Hai Rat-E-Hijr Main Mohabbat Ka
Soch Hi Soch Me Ek Darya Baha Deti Hain

Lakh Chaho Gar Tum Chupana Duniya Say, Lali Inn Ki
Daga Baz Hain Ye, Fasana-E-Dard Poore Aalm Ko Bata Deti Hain

Ghadi do Ghadi mile Khabar Uski...

main apne dil ko samjhaoon kaise
tujhe sanam main bhulaoon kaise
mujhe to teri latt ho chuki hai
main tujh bin jiwan bitaoon kaise

ye duriya jo badh rahi hai
unhe main yaar ab mitaoon kaise
ye aansu jo beh rahe hai
inhe main pee kar nibhaoon kaise

ye dil me kaisi jung chidi hai
ye kaisi mushkil ki ghadi hai
main apne dil ko samjhaoon kaise
is badhti doori ko mitaoon kaise

mujhe tu ya rabb, sabar ataa kar
ghadi do ghadi unki khabar ata kar……..

WO SHAKHS KITNA AAM SA THA...

MAIN EK AAM AADMI HOON…….
MERA AAM SA LEHJA, AAM SA CHEHRA
AAM SI BAATEIN, AAM SI CHAHTEIN
AAM SE DIN, AAM SI RAATEIN
MUJH ME KHUCHH BHI TO KHAS NAHI
PHIR….TUM KAISE MUJHE YAAD RAKH PAOGI?
SHAYAD IS TARAH……
KABHI BAATON-BAATON MEIN YOON YAAD AA JAUN…
KE…… “WO SHAKHS KITNA AAM SA THA!!!”

Wafa K Naam....

Wafa K Naam Ik Dastan Likh Raha Tha

Mushkil Lafzon Ko Asaan Likh Raha Tha
Wafa Ki Talash Mai Sara Jahan Likh Raha Tha

…Na Mili Wafa To Lafz Nakaam Likh Raha Tha
Nai Milti Dhoondne Se B Wafa Karne Wale

Islye Sare Jahan Ko Bewafa Likh Raha Tha
Na Karna Pyar Kabi Zindagi Mai Mere Dosto

Milti Hai Pyar Mai Ruswai Ye Baar Baar Likh Raha Tha

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...